Saturday, March 12, 2011

Beautiful Words

Aye Khuda jab bhi tera asmaan dekhta hon,
Us me basa Ek jahaan dekhta hon, 

Na'janey kitny hi jahaanon ki sair karta hon,
Khol kr jb tera Quran dekhta hon,

 Tere Ahsaan kitne hain Bandon pe tere,
Jab bhi surah Rehmaan dekhta hon,

 Tu to kehta hai rag-e-jaan se bhi hon mai qareeb,
Phir Pareshan kyu Aaj ka insan dekhta hon,

 Uski Rehmat se kabi mayoos na hona aye Dost,
Tujh pe mein uski rehmat ke nishan dekhta hun.

No comments: