Aik rooz aik saheb e zulfe daraaz ne
Hum se kaha ke kab ye sukhan wer ki baat hai
Aata nahi hai rasoole khuda tumain ??
Bus Fatima ki baat hai haider ki baat hai
Main ne kaha k zikre rasoole khuda karooon
Kahne lagee k haan yehi johar ki baat hai
Main ne jo kia dawat e awal ka tazkara
Bole hataoo is mein to haider ki bat hai
Main ne kaha jehad e paymber karoon beyan
Khandaq ka zikr hai kahin khebar ki baat hai
Kahne lagee ke aur koe tazraka karooo
Is mein to saaf zehgham e dawar ki baat hai
Main ne sunaya ayae tatheer ka nazool
Bole ke gher mein rahne do ye gher ki baat hai
Main ne nabi ki but shikani ka kia jo zikr
Kahne lage ke dukhti hoe rag na cheriae
Paae ali aur dooshe paymber ki baat hai
Main sunaya jab sahb e hijrat ka waqea
Bole ke ye rasool ke bistar ki baat hai
Main ne nabi ke akhari haj ka kia jo zikr
Bole ke ye ghadir ke mimber ki baat hai
main ne kaha k zikr e nabi kis tarah karoon ?????
Ahmed ki baat baat mein haider ki baat hai
Bole ke zikr aoroon ka ata nahi hai kyon ???
Main ne kaha ke ye to moqadar ki baat hai...
No comments:
Post a Comment