Wednesday, October 3, 2012

ik shakhs Aap (SAW) k pas aya or kaha,
Me aalim ban'na chahta houn
Farmaya: Taqwa ikhtiyar kro aalam ban jaogy
Arz kia,
Taqatwar ban'na chahta houn.
Farmaya: ALLAH per tawakkal karo.
Arz kia,
ALLAH ka khas ban'na chahta houn
Farmaya: ALLAH ka zikr kasrat se kro
Arz kia,
Rizq ki kushadgi chahta houn.
Farmaya: hamesha bawuzu raho.
Arz kia,
Duaon ki Qabooliat chahta houn.
Farmaya: Haram mat khao
Arz kiya,
Gunahon me kami chahta houn.
Farmaya: Astaghfar karo

No comments: